Cuelinks Affiliate Program Kya Hai Cuelinks Se Paise Kaise Kamaye.
22 August 2022Cuelinks se paise kaise kamaye best affiliate programs for indian bloggers in hindi Hello readers, aaj me aapko Jo information batane ja raha hu usse aap apne blog se ek acchi earning kar sakte hai. agar aap ek indian blogger hai or aapko ek badhiya income banani hai to aaj me aapko Jo batane ja raha hu use aap jarur padhiye. mujhe pata hai ki new blogger hone ki wajah se aapko sirf ek hi earning ka zariya dikhta hai or vo hai Adsense par me aapko bata du ki jitne bhi high earning blogs hai unke asli earning ka zariya affiliate hai. Isi liye me aaj aapko cuelinks ke bare me batane ja raha hu. Aaj me aapko is post par cuelinks ki puri information dunga.
Table of Contents
- About cuelinks (point to point)
- Cuelinks se earning kaise kare
- Cuelinks refer and earn kya hai or isse kaise earning kare
- Cueword kya hai
- Cuelinks se paise kaise withdraw kare
- 3 Tools To Manage Your Twitter Community Everyone Should Use.
- How To Increase Your Facebook Fan Base.
- Why Social Media Automated Tools Won’t Work For You.
- Top 10 Affiliate Marketing Lead Generation Ideas, Techniques And Tacticts.
About cuelinks (point to point)
Cuelinks ek affiliate site hai Jo aapko aapke blog se badhiya earning karne ka platform deta hai.
Cuelink AdSense ke sath work karta hai. Iska matlab agar aapne apne blog par AdSense laga rakha hai to uske swath aap cuelinks bhi use kar sakte hai. Jisse aapki double earning hogi.
Cuelinks Indian sites ke liye best hai. khaskar Jo Hindi me blog likhte hai kyuki cuelink se earning ke liye aapko Indian visitors target karne hote hai.
Aapko alag- alag affiliate program ke website join Karne ki jarurat nahi hai kyuki cuelinks aapko sare sites ki affiliate marketing uplabdh karata hai.
Cuelinks se aap sidha amazon, flipkart, shopsclue, jabong, Paytm, freecharge, jaise kai website merchants companies ke product se earning kar sakte hai.
Aap jis website ka chahe product apne blog par laga sakte hai. Jab vo product aapke blog ke zariye sell ho jayega to aapko uska commission milega.
Cuelinks se aapko jaldi approval mil jata hai or aapko har product sell karne ke liye unique link milta hai.
Cuelinks ka dashboard easy to use hai or aap apne cuelinks account ko easily Handel kar sakte hai.
Cuelinks aapko khud ka ek unique link deta hai jise aap apne blog par laga sakte hai or earn kar sakte hai. Cuelinks aapko email bhi bhejega jisse aap new- new offer and update ko le sakte hai.
Cuelinks website ke sath- sath apps afillate ka bhi option deta hai jime aapko har app install Karen ke paise milte hai.
Cuelinks se earning kaise kare
Sabse pehle cuelinks ke website par jakar aapna account register kare. Apna account yaha se register kare. Click here
Register karte samaye aapni sari information dale. Aapko aapka approval 1-2 din ke under mil jayega.
Jab aapko aproval mil jaye to aapna account fir se login kare.
Ab aapke samne cuelinks ka homepage hoga. Uske left hand side upper options par click kare. Waha aapko merchants likha dikhega aap uspar click kare.
Ab aap jo chahe vo merchant website search kar sakte hai jaise – amazon, zoom, food panda, etc.
Jab aapko aapk manpasand merchant mil jaye to uspar click kare jisse cuelink aapko ek JavaScript milega usko aapko apne blog par laga dena hai bas. Iske baad agar koi bhi aapke us link par click karke vo product kharidta hai to fir aapko uska commission milega.
Cuelinks refer and earn kya hai or isse kaise earning kare
Cuelinks aapko earn Karne ka ek or tarika deta hai jisme agar aap apne kisi friend ya kisi ko bhi cuelink par apna accoun banane ko kehte hai or agar aapka friend usse earning karta hai to cuelinks uske earning ka 25% aapko dega bina kuch kiye. bas aapko ye steps follow karne hai.
Aapko cuelink par login kare or options par jaye.
Waha aapko refer and earn ka option dikhega uspar click kare.
Click karne ke baad apko ek link dikhega usko copy karle or apne friends ko bhej de.
Jab aapka dost us link par click karke apana account banayega to fir aap uske earning ka 25% milta rahega. aap jitne chahe utne logo ko refer kar sakte hai.
Cueword kya hai
Cueword cuelink ka ek aisa option hai jisse aap apne blogpost ke words ko link me convert kar sakte hai matlab aap blog ke har post ke word ko link me convert kar sakte hai jisse aapke blog par jagah bachegi or agar koi us word par click karega to vo bilkul link jaisa hi kaam karega . aap jo chahe or jitne chahe words ko link me convert kar sakte hai. Par mera advise hai ki aap har post ke keval 4-5 hi word ko link me covert kare agar aapko is option ka prayog karna ho to varana rehne de.
Cuelinks se paise kaise withdraw kare
Aap apne cuelinks ki earning ko easily withdraw kar sakte hai.
Jab aapke account me 500 INR ajaye to aap usko withdraw kasr sakte hai.
Aap apne earning ko DIRECT Bank Transfer dwara withdraw kar sakte hai.
To dosto aapko ye jankari kaisi lagi Cuelinks se paise kaise kamye mujhe comment dwara jarur bataye and aap My Techy Blog se jude rahe kyuki me aapke liye Earn money online, blogging, internet or technology sath hi sath hacking se judi jaankari bhi laata hu.
thanks for reading.